1. Jo log tumhare liye khade hone ko tayyar nahi, unke liye samudra paar karne ki koshish mat karo.
2. Agar tum kisi baat ko simple aur short me explain nahi kar sakte, samajh lo ki tum khud use puri tarah nahi samjhe.
3. Sabse badi galti ye sochna hai ki hamare paas hamesha time hai.
4. Zindagi me asli bachat wahi hai jo logon ke dil me tumne jagah banayi hai.
5. Problems sirf unse share karo jo solve kar sakte hain ya jo problem create ki hai.
6. Apne kaam ko importance ke hisaab se prioritize karo, distractions se door raho aur focus rakho.
7. Independent banna hai to abhi hard choices lena shuru karo – comfort zone me baithna aasan life ki guarantee nahi deta.
8. Negative thoughts ko positive me convert karo aur hamesha gratitude feel karo.
9. God ne tumhe jo diya hain – unka shukriya karo aur khud se pyar karo.
10. Friends, family aur temporary relationships me depend mat raho – career aur self-growth pe focus karo.
11. Discipline, consistency aur focus hi success ke asli keys hain.
12. Life waste karne wali cheezein: poor sleep, phone addiction, comfort zone me rehna aur woh life jeena jo tum pasand nahi.
13. Dusron ko respect do, achhe karm karo aur pehle achha insaan bano – phir universe tumhe sab deta hai.
No comments:
Post a Comment